PixMorphy

भारतीय छात्रों के लिए करियर और AI मार्गदर्शन — वास्तविक अनुभव से

Ye site generic AI articles ya shortcut promises ke liye nahi hai — sirf tested career journey aur honest guidance ke liye.

PixMorphy ek Hindi career blog hai jo Electronics & Communication (ECE) background se core job, automation engineer, aur ab GenAI engineer tak pahunchne wale real experience par based hai. Sarkari exam preparation, 4 saal ka gap, aur IT industry mein late entry — ye sab khud jhela gaya hai, isliye yahan jo likha hai wo textbook advice nahi, practical path hai.

Har article mein author ka naam, publish date, update date, FAQ aur personal experience disclaimer clearly diya jata hai. Salary numbers, job timelines aur career steps individual experience par based hain — official survey ya guaranteed outcome nahi.

Agar aap B.Tech fresher ho, sarkari prep chhod kar IT mein jaana chahte ho, ya AI career ki real salary journey samajhna chahte ho — yahan sirf wahi content hai jo is journey se directly juda hai.

Suggestions ya corrections ke liye contact page ya homepage par query form use karein. Email: vivgup64@gmail.com